Aulaad Me Beta Aur Beti Dono Shamil Hain, Aulaad Ke Huqooq Bohut Zyada Hain, Jin Me Se Ek Bohut Ahem Haq Unki Tarbiyat Hai, Tarbiyat Ka Matlab Ye Hai ke Aulaad Ka Deen Islam say taluq Jor Diya Jaye or Un Ki achee tarbiyat ki jaye , Unhay bachpan he say Quran majeed Perhnay ki adat dal jaye, Unhay bachpan say he Namaz perhnay ka paband banadiya jaye, Unhay bachpan say he behayai kay kam kernay say door rakha jaye.
Television, mobile or Internet kay zariyay jo behayai or gandi cheezay dikha kar jo Musalmano may behayai pehlai ja rahee hay un say khud bhe bachnay or apnay bacho ko bhe is burai say door rakhnay ki koshish ki jaye. Unhay achay or buray ki tameez samjha dee jaye. Kiya cheez Haram hay or Kiya cheez Halal hay. Kin buri adato say apnay ap ko bacha ker chalna hay or kon say Naik kam hay jin ko unho nay poori zindagee kernay hay. Is Tarah Unke Ander Deen e Islam Ka Wafir Hissa Moujood Rahe.
Garz ke Aulaad Waldain Ke Zimme Amanat Hai Aur Waldain Se Qiyamat Ke Din Unke Baare Me Pooch Hogi.
Aulaad Ki Deeni Or Ikhlaqi (Achee Tarbiyat) Karke Hi Waldain Apni Zimmedari Se Subukdosh Hosakte Hain.
Aur Aulaad Ki Islah Karsakte Hain, Aulaad Jab Saleh Hogi Toh Duniya Or Akhirat Me Waldain Ki Aankhoun Ki Thandak Banei.
Jab Banda Marr Jata Hai Toh Usska Amal Bhi Munqatah Hojata Hai.
Magar 3 Qism Ke Amal Ka Sawab Jaari Rehta Hai.
1 – Sadqa-e-jariya
2 – Aisa Ilm Jis Se Usske Baad Bhi Faiyada Uthaya Jaaye
3 – Saleh Aulaad Jo Usskeliye Dua Karti Rahe
Yeh Aulaad Ki Behtareen Taleem or Tarbiyat Hi Ka Natija Hai Ki Waldain Ke Marne Ke Baad Bhi Woh Unkeliye Nafaa Baqsh Hoti Hai.