Ghusal, The Islamic Way Of Taking Bath
Share this:
- Click to share on Twitter (Opens in new window)
- Click to share on Pinterest (Opens in new window)
- Click to share on Tumblr (Opens in new window)
- Click to share on Reddit (Opens in new window)
- Click to share on WhatsApp (Opens in new window)
- Click to share on LinkedIn (Opens in new window)
- Click to share on Facebook (Opens in new window)
- Click to print (Opens in new window)
- Click to share on Telegram (Opens in new window)
- Click to share on Pocket (Opens in new window)
- Click to email a link to a friend (Opens in new window)
- Click to share on Mastodon (Opens in new window)
- Click to share on Nextdoor (Opens in new window)
Narrated ‘Aisha Radi Allahu Anha: Whenever the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam took a bath after Janaba he started by washing his hands and then performed ablution like that for the prayer. After that he would put his fingers in water and move the roots of his hair with them, and then pour three handfuls of water over his head and then pour water all over his body.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 5, Number 248:
Hamara mazhab Islam aik aisa mazhab hay jis may her cheez ka Zikar hay , yahan tak kay peeshab phakana kis tarah kernay , kahan kerna , hay , us say related kiya kiya problems hay (SUBHANALLAH) , jis cheez kay baray may hum boltay huway or bat kertay huway sharmatay hay us kay baray may sario information islam nay di hay , kay is kam ko bhe kis tarah anjam dayna hay (SUBHANALLA)
safai nisf iman hay , hum sab yay boltay to hay or perhtay bhe likin sochtay nahee hay kay , safai nisf iman kaisay ho sakte hay ,jab banda pak saaf rehta hay to woh automatically sab kam aram say kerlayta hay , maslan namaz perhna , quran shareef perhna , masjid jana , achee mehfil may jana wagera , or agar banday ka badan ya libas na pak ho to na to woh namaz perhnay jaye ga , na he quran majeed perhay ga , na masjid may jaye or na he achee mehfil may or achee jaga jaye ga . isi liyay kaha jata hay kay insan ko pak saaf rehna chaiyay , yay to zahiri paki hay kay badan ka pak saaf hona or kapray ka pak saaf hona aik paki hote hay doosri hote hai batini paki , yani insan ka dil , dimag us ki soch or us ka poora wajood pak ho , kay woh koi gandi bat sochta na ho , ganday kam kerta na ho , ganday cheez us ki dimag may na ho , fahashi uryani wali cheezay na kerta ho , napaki walay kam na kerta ho , na maehram ko dekh ker us kay dil may ganday or napak jazbat paida na hotay ho .
namaz perhnay kay liyay jism , kapray or jaga ka pak hona zaroorie hay , agar hamaray kapray , jism or jaga pak saaf nahee hoge to hamari namaz Alalh ka bargah may qabool nahee hogee , kitnay he log hay jin ho nay apni poorie zindage guzardi , burhapay ki dehleez may agaye hay na to un ko napaki , paki ka pata hay , na wazoo ka tariqa ata hay , na Gussal kerna ata hay na Gussal kay baray may pata hay kay kab wajib ho jata hay , na hi namaz perhnay ka tariqa ata hay , bas zindagee guzardee likin kuch nahee seekha .
Her musalman mard orat per zaroorie hay kay us ko in tamam bato kay baray may pata hona chaiyay kay Gussal kaisay kerna hay , Wazoo kaisay kerna hay , Pak saaf kaisay rehna hay , Namaz kaisay perhni hay , Roza rakhna hay to kis tarah rakhna hay rozay kay dermiyan her burai say bachna hay yay nahee kay roza rakh liya likin her bura kam bhe sath sathh ker rahay hay , namaz perghni hay to aram ram say perhni hay , yay nahee kay 2 minute may Namaz perh ker uth gaye , her cheez ka aik tariqa hota us ko seekhna chaiyay .
Taharat Paki bohat zada zaroorie hay , Allah tala nay insan ko aisa banaya hay kay woh khata peeta hay to us ko hajat (Toilet) ki zaroorat bhe perhte hay , us hajat ( Peeshab Phakana ) kay liyay usay toilet bhe jana perhta hay , Peeshab kay qatray kay baray may ata hay kay aik qatra bhe ap kay kapray per gir giya to ap napak ho jatay hay , Qabar kay under is waja say azab bhe milta hay , jo shaks is cheez ka khayal nahee kerta qabar may usay sakht azab milta hay , yahan tak kaha gaya hay kay bhalay say tumhare farz namaz ja rahee ho usay chordo likin jab tak tumhay mukamal yaqeen na ho jaye kay tum achee tarah farig ho chukay ho , achee tarah yaqeen na ho jao kay ab peeshab ka aik qatra bhee nahee giray ga us waqt tak na utho , bhalay say tumhari farz namaz hi kiun na nikal jaye , kiun agar jaldi may uth ker tum nay namaz bhe perh lee or peeshab ka qatra gir gaya to woh namaz qabool nahee hogee , is say behter yahee hay kay pehlay aram say farig ho jao , mukamal yaqeen ajaye kay ab koi drop nahee giray ga .
bohat say logo ko peeshab kay qatray girnay ki beemari hote hay , peeshab kay qatray girnay ki 2 main waja say hay aik to yay kay hum jo aj kal khana ya Gizza (Food) khatay hay woh pure nahee hay , us may milawat hay , us may pata nahe ekiya kiya mila huwa hota hay , hygenic nahee hota , jis ki waja say garmi piada ho jatee hay insan kay under us ki waja say yay peeshab kay qatray girnay ki beemari ho jatee hay , kiun kay pehlay zamanay may Gizza (Food) jo hota tha woh khalis (Pure , Hygenic) hota tha to un logo ko is tarah ka problem nahee hota tha , Likin aj kal dor may koi cheez bhe khalis nahee hay or doosra is ki main waja “HAnd Practice/Masterbation” jo kay aj kal her nojawan or un kay sath doosrie age kay logo may aam hay jo kay “Haram” hay us waja say yay problem young generation may khas tor per hay , jis ki waja say peeshab kay qatray kay problem start ho jata hay , agar koi is haram kam kernay may laga huwa hay ya us ko adat perhi huwee hay to woh foren say pehlay chorday kiun kay is kay bohat zada nuqsanat hay , jis kay andaza bad may ja ker pata chalta hay .
Acha ab jin ko peeshab kay qatray ka problem hay woh kiya karay , kiya woh is halat may namaz perh saktay hay , Quran perhsaktay hay , Roza rakh saktay hay ya doosray kam jin ka hukum allah nay diya hay woh kersaktay hay ya nahee , Pehli bat to yay hay kay pehlay woh agar koi bura kam ker rahay hay jis waja say yay problem barh raha hay woh kerna chordain(Hand Practice/Masterbation) doosra woh is maslay kay hal kay liyay proper Ilaj kerwaye Doctor / Hakeem jis say chaye or is maslay ka hal karay or jab tak yay masla hal nahee hota hay to un kay liyay hukum hay kay her namaz perhnay say 20 minute pehlay Toilet ker kay wapis ajaye or namaz say pehlay jis jaga epr peeshab kay qatray giray hay us hisay ko dholay to woh kapra pak ho jaye ga or her namaz say pehlay naya wazoo ker kay namaz perhay .
Jab bhe toilet jaye hajat (Peeshab , Phakana) kernay kay liyay to Qibla Rukh ker kay na bathay , na to ap ka moon Qiblay ki taraf ho or na he ap ki Qamar (back/ Peet) qiblay ki taraf ho , is ka aik proper tariqa hay woh ap kisi islamic book ya ulma ya apnay masjid kay imam sahab say poochaiyay woh ap ko sahee say bataingay , khair jab farig ho jaye peeshab Phakana ker kay to zor say aik do dafa Khansiyay takay jo qatray abhee tak giray nahe ethay woh khasnay ki waja say gir jaye , doosra aik do dafa lambay lambay Sans lijyay bethay bethay hi , means jab ap bethay huway hongay usi waqt ap ko Khasna bhe hay aik do dafa zor say or Lambay Lambay sans bad may laynay bhe hay takay peeshab kay qatray gir jaye or napaki honay kay chance kam say kam reh jaye , Doosra yay kay Tissue paper ka use keriyay , Tissue paper say saaf kijyay peeshab jahan say nikalta hay us jaga ko , or kam yay kersaktay hay kay Tissue ka kuch hissa ap wahan per laga ker bhe rakh saktay hay jab ap farig ho ker nikal rahay ho takay agar peeshab kay qatray giray to woh bhe tissue paper may he jasb ho jaye or ap kay kapray may na giray or bad may jaker us tissue paper ko nikal ker phek dijyay .
is kay ilawa yay hay kay bohat saray log jo hay woh peeshab kahen bhe kerdaytay hay , is kam ko anjam daynay kay liyay zaroorie hay kay aik proper jaga ho , jo 4 taraf say band ho or jahan per koi bhe ap ko dekh na sakta ho , or Toilet may dakhil ho nay say pehlay andar janay ki Dua perhaiyay kiun kay in jagah per shaitan or khabees chhezay hote hay , jab ap dua perhlaytay hay to un shayatin or khabees cheezay jo ap ko dekh saktee hay us kay ankhain band ho jatee hay or phir woh ap ko galat kam ki taraf mutawaja nahee kersakay gee . bohat saray log jab gher say bahar hotay hay to woh public place per yay kam kertay hay , to un ko chaiyay kay woh us kay liyay bhe aik aisi proper jaga dhoonday jahan per un ko koi dekh na sakta ho or kabhee bhee pakki jaga per na kijyay , kiun us say cheentay urtay hay or us say kapray napak ho jatay hay , or hamesha dehlan (jo jaga oper say neechay ki taraf ja rahee ho) wahan per yay kam kijyay or jaga sakht na ho , balkay kachi ho takay woh us may jasb ho jaye or cheentay na uray , kabhee bhe kisi surakh , gutter ya hole may na kijyay kiun kay wahan per doosri makhlook keeray makoray hotay hay , un ko takleef hoti hay .
Ghussal ka tariqa bohat saray logo ko nahee pata hota hay , Hum apnay ap ko musalman to kehtay hay baray fakhar say likin na hamay wazoo sahe ekerna ata hay or na he Ghussal sahee tariqay say kerna ata hay or na he Namaz sahe eperhnai ati hi or agar koi un ko sahee tariqa bataye to gussa ata hay sab ko . Ghussal ka sahee tariqa yay hay kay ap ki jism may jahan nijasat , gandage lage huwe hay us ko achee tarah saaf kerlay , apnay jism ko achee tarah say pak saaf kerlay , achee tarah dholay , jis jaga pani sahee tarah nahee jata hay Naaf may or Bagal may us ko bhe sahee tariqay say dholijyay , phir Gararay kernay hay , is tarah kay halaq tak pani jaye , agar ap ko gararay kernay may masla hota hay to Bismillah perh ker pehlay thora sa pani pi lijyay takay ap ka gala geela ho jaye us kay bad 3 dafa Kuli kijyay , us kay bad 3 dafa nak may pani is tarah dalna hay kay nak ki naram haddi tak pani chalay jaye , agar is may bhe masla hota hay kay nak ki naram hadi tak pani nahee ja pata to , apani ultay hath ki choti ungli geeli ker kay nak ko achee tariqay say under tak saaf karay yahan tak kay naram hadi tak pani pohanch jaye , us kay bad 3 dafa pani apnay oper is tarah bahana hay kay jism aik aik chota sa hissa bhe khushk na reh jaye , bal ki jaro tak pani jana zaroorie hay , or jab ap Ghussal keraytay hay to wazoo ki zaroorat nahee perhtee , acha to yahee hota hay kay ghussal , napaki , wazoo in sab ko kisi baray say ya molvi sahab say ya ulma ikram say sahee tarah see seekhiyay , aik musalman honay kay natay yay sab cheezay seekhna bohat zaroorie hay .
Zair Naaf or Zair bagal jo bal hotay hay us ki safai kerna bohat zada zaroorie hay , un balo ko zada berhnay na diya karay balkay us ko waqt kay sath sath kat tay raha kijyay , 40 din zada say zada had hay 40 Din kay under yay bal ko saaf kerdayna chaiyay , mean agar aj ap nay zair bagal or zair naaf bal katay hay to agalay 40 din kay under us ki doobara safai kerna zaroorie hay , acha to yahee hay kay haftay bad he us ki safai kerlayna chaiyay , 40 din kay bad say jo lamha un balo kay sath ap guzaraingay us ka bohat sakht gunah hay .
masturbation , hand practice kerna haram hay , aj kal ki nojawan nasal yay kam ker kay apni deen or duniya dono barbad ker rahee hay , aj ka her lerka lerki ko pasand kerta hay us kay ishq may pagal huwa wa hay us ki aik jhalak dekhnay kay liyay pagal o ki tarah sarko per khara rehta hay , gandi gandi film dekhta hay , fahasi uryani wali cheezay dekhta hay , jis ki waja say woh frustrated hota hay or apni sex ki zarooriyat poorie na honay per woh is haram fail ki taraf chalay jata hay , islam may hand practice / mastarbation ko haram karar diya hay , yay intihai na pasandeeda amal hay Allah kay nazdeek , jo shaks is buri lat may perh jata hay woh apni deen duniya dono barbad ker beth tha hay , yahan tak baray baray dari walay , namazi , Hafiz e Quran bhe is lat may parhay huway hay or jo is lat may aik dafa perh jata hay us ka nikalna bohat mushkil hojata hay , chand sikan kay mazay or lazat or sukoon hasil kernay kay badlay woh apni deen or duniya dono barbad ker beth tha hay , apni sehat kharab ker beth tha hay , yahan tak kay jab sahdi ka waqt ata hay to us ki mardangee ki bhe khatray may perh jate hay or mardana kamzoori ka shikar ho beth tha hay or hakeem kay pass bhagta hay , peeshab kay qatray girnay ki beemari may ghir jata hay , jis ki waja say namaz perhna , quran perhna or dooray kam karnay say qasir ho jata hay , Shadi kay bad olad nahee hotee us kay ghar may , kiun kay jo tawanai or jo cheez olad paida kernay may madad dayte hay woh us cheez ko is haram l=kam kernay ki waja say koh beth tha or bap ban nay ki salahiyat us may khatam ho jatee hay or shadi kay bad jo lazat , rahat or sukoon woh hasil kersakta hay agar woh is haram kam ko na karay to woh is haram kam kernay ki nahoosat say us rahat , sukoon or mazay say mehroom ho jata hay or phir woh hakeem ki dawai or doosri taqat ki dawai kha ker us rahat sukoon ko panay ki koshish kerta hay , Qayamat kay din us banday kay dono hath may hamal ( jo orat kay pait may bacha hotay huway hota hay) woh us kay dono hath may hoga , or sab logo ko pata chal jaye ga kay yay shaks duniya may haram kam kerta tha , duniya or akhirat may ruswai ka sabab ban jata hay admi , agar woh is haram kam ko kerta rehta hay to , jo shaks is haram kam may mubtala hay usay chaiyay kay is haram kam ko kerna foren chorday , gandi film dekhna , gandi or nangi orto ko nachtay huway dekhna , fahashi uryani wali cheezo ko dekhna or ganday or pur gandah khayal ko sochna , kerna sab kuch chordo , apni nigah ko neechay rakho , orto ko na dekho , na mehram ko na dekho , jo is museebat may mubtala hay un ko chaiyay kay kam say kam khaye or zada say zada rozay rakhay or jald az jald Nikkah kerlay . Allah say apnay pichlay gunah ki gi gira kay , ro ro ker maafi mangay or ainda is haram ko na karnay ka irada karay or apnay nafs ko shikast day or shaitan kay tamam mansoobo ko khak may mila day.
When the Ghusul is obligatory or essential
Wetdream in the case of sleep
The exclusion of sperm with delightful felt
Husband and wife after the literacy connection
After menstruation
After childbirth
For specific more details contact with scholars