Waldain Ka Ehtram
Share this:
- Click to share on Twitter (Opens in new window)
- Click to share on Pinterest (Opens in new window)
- Click to share on Tumblr (Opens in new window)
- Click to share on Reddit (Opens in new window)
- Click to share on WhatsApp (Opens in new window)
- Click to share on LinkedIn (Opens in new window)
- Click to share on Facebook (Opens in new window)
- Click to print (Opens in new window)
- Click to share on Telegram (Opens in new window)
- Click to share on Pocket (Opens in new window)
- Click to email a link to a friend (Opens in new window)
- Click to share on Mastodon (Opens in new window)
- Click to share on Nextdoor (Opens in new window)
Related
- admin
- August 1, 2013
- 76029
- 4
- Haqooq, Husn-e-Salook, Maa Baap, Waldain, Waldain ka Ehtram
- Urdu
Waldein Ki Ita’at Aur Farmabardari Hum Sab Par Eksaa Farz Hai…
Iss Duniya Me Sab Se Azeem Rishta Waldein Ka Hai..
Waldein Humari Taleem Wo Tarbiyat ke Zamin Hote Hain…
Har Waldein ki Yeh Kwahish Hoti Hai Ki Unki Aulaad Iss Duniya Me Aala Se Aala Muqaam Paale…..
Humare Behtar Mustaqbil Keliye Waldein Apna Chain Aaram Sab kuch Qurbaan Kardete Hain…
Hum Agar Umr Bhar Bhi Yeh Koshish Karte Rahe ki Unke Ehsaan Ka Badla Utar Sakein Toh Hum Chah Kar Bhi Nahi Kar sakte….
Isiliye Humara Yeh Farz Banta Hai Ki Hum Apne Waldein Ki Har Tarha Se Qidmat Karein..
Unki Ita’at Aur Farmabardari Me Kisi Qism ki Koi Kotahi Naa Karein…
Jis Se Unke Dil Ko Takleef Pohenche…
Unhe Hamesha Khush Rakhne Ki Koshish Karein ..
Aur Hamesha Unki Har Tarah ki Qidmat Keliye Tayyar Rahein…..
Quran Me Jagah Jagah Waldein Se Husn Sulook Ki Takeed Ki Gayi Hai…
Quran Me Ek Jagah Irshaad-E-Bari Talah Hai…….
Agar Dono Me Se Koi Ek Ya Dono Tumhari Zindagi Me Hi Budhe Hojayein Toh Unhe Uff Na Kaho ,
Unhe Jhidko Nahi , Unke Sath Narmi Se Baat Karo ….
Aur Unkeliye Yeh Dua Karo……
Aaye Humare Parwardigaar Inn Par Rahem Farma,
Jis Tarha Inho Ne Mujhe Bachpan Me Paala Hai……
Waldein Ka Ehteraam Sirf Ye Nahi Ke Khud Unka Adab Kiya Jaaye…….
Balke Aisa Rawaiyah Iqtiyaar Kiya Jaaye Ke Doosre Log Bhi Unke Waldein Ka Ehteraam Karein……..
Aaye Allah Tabarak Wa Talah Hume Itni Himmat Aur Toufeeq Aaata Farma Ki Hum Apne Aulaad Hone Ka Farz Achi Tarah Nibha Sakein Aur Apne Waldein Ki Qidmat Kar Sakein…..Ameeeeeen
Aulaad Me Beta Aur Beti Dono Shamil Hain, Aulaad Ke Huqooq Bohut Zyada Hain, Jin Me Se Ek Bohut Ahem Haq Unki Tarbiyat Hai, Tarbiyat Ka Matlab Ye Hai ke Aulaad Ko Deen Wo Aqlaaq Se Mamoor Kar Diya Jaye Taaki Unke Ander Deen
Wo Aqlaaq Ka Wafir Hissa Moujood Rahe…..
Garz ke Aulaad Waldain Ke Zimme Amanat Hai Aur Waldain Se Qiyamat Ke Din unke Baare Me Pooch Hogi…
Aulaad Ki Deeni Wa Aqlaqi Tarbiyat Karke Hi Waldain Apni Zimmedari Se Subukdosh Hosakte Hain…
Aur Aulaad Ki Islah Karsakte Hain, Aulaad Jab Saleh Hogi Toh Duniya Wo Aaqirat Me Waldain Ki Aankhoun Ki Thandak Banegi…
Jab Banda Marr Jata Hai Toh Usska Amal Bhi Munqatah Hojata Hai…
Magar 3 Qism Ke Amal Ka Sawab Jaari Rehta Hai…
1 – Sadqa-E-jariya…
2 – Aisa Ilm Jis Se Usske Baad Bhi Faiyada Uthaya Jaaye….
3 – Saleh Aulaad Jo Usskeliye
Dua Karti Rahe….
Yeh Aulaad Ki Behtareen Taleem Wo Tarbiyat Hi Ka Natija Hai Ki Waldain Ke Marne Ke Baad Bhi Woh Unkeliye Nafaa Baqsh Hoti Hai……
jo koi is dunia main haqiqi khushi chahta hai us ko chahie k apne waldain ka har tarah se khayal rakhe aor un ko har mumkin khushi de
Respected My Brothers & Sisters
Waldein Ki Ita’at Aur Farmabardari Hum Sab Par Eksaa Farz Hai…
Iss Duniya Me Sab Se Azeem Rishta Waldein Ka Hai..
Waldein Humari Taleem Wo Tarbiyat ke Zamin Hote Hain…
Har Waldein ki Yeh Kwahish Hoti Hai Ki Unki Aulaad Iss Duniya Me Aala Se Aala Muqaam Paale…..
Humare Behtar Mustaqbil Keliye Waldein Apna Chain Aaram Sab kuch Qurbaan Kardete Hain…
Hum Agar Umr Bhar Bhi Yeh Koshish Karte Rahe kI Unke Ehsaan Ka Badla Utar Sakein Toh Hum Chah Kar Bhi Nahi Kar sakte….
Isiliye Humara Yeh Farz Banta Hai Ki Hum Apne Waldein Ki Har Tarah Se Qidmat Karein..Unki Ita’at Aur Farmabardari Me Kisi Qism ki Koi Kotahi Naa Karein…
Jis Se Unke Dil Ko Takleef Pohenche…
Unhe Hamesha Khush Rakhne Ki Koshish Karein .. Aur Hamesha Unki Har Tarah ki Qidmat Keliye Tayyar Rahein…..
Quran Me Jagah Jagah Waldein Se Husn Sulook Ki Takeed Ki Gayi Hai…
Quran Me Ek Jagah Irshaad-E-Bari Talah Hai…….
Agar Dono Me Se Koi Ek Ya Dono Tumhari Zindagi Me Hi Bodhe Hojayein To Unhe Uff Na Kaho , Unhe Jhidko Nahi , Unke Sath Narmi Se Baat Karo ….
Aur Unkeliye Yeh Dua Karo……
Aaye Humare Parwardigaar Inn Par Rahem Farma, Jis Tarah Inho Ne Mujhe Bachpan Me Paala Hai……
Waldein Ka Ehteraam Sirf Ye Nahi Ke Khud Unka Adab Kiya Jaaye…….
Balke Aisa Rawaiyah Iqtiyaar Kiya Jaaye Ke Doosre Log Bhi Unke Waldein Ka Ehteraam Karein……..
Aaye Allah Tabarak Wa Talah Hume Itni Himmat Aur Toufeeq Aaata Farma Ki Hum Apne Aulaad Hone Ka Farz Achi Tarah Nibha Sakein Aur Apne Waldein Ki Qidmat Kar Sakein…..Ameeeeeen
Jazak Allah Khair