Waldain Sey Husn e Salook
Waldain Sey Husn e Salook
Share this:
- Click to share on Twitter (Opens in new window)
- Click to share on Pinterest (Opens in new window)
- Click to share on Tumblr (Opens in new window)
- Click to share on Reddit (Opens in new window)
- Click to share on WhatsApp (Opens in new window)
- Click to share on LinkedIn (Opens in new window)
- Click to share on Facebook (Opens in new window)
- Click to print (Opens in new window)
- Click to share on Telegram (Opens in new window)
- Click to share on Pocket (Opens in new window)
- Click to email a link to a friend (Opens in new window)
- Click to share on Mastodon (Opens in new window)
- Click to share on Nextdoor (Opens in new window)
Related
- admin
- March 1, 2017
- 25102
- 1
- Baap, Haqooq Ul Ibad, Husn-e-Salook, Maa, Waldain, Waldain ka Ehtram
- Urdu
Waldein Ki Ita’at Aur Farmabardari Hum Sab Par Eksaa Farz Hai Is Duniya Me Sabse Azeem Rishta Waldein Ka Hai Waldein Humari Taleem Wo Tarbiyat Ke Zamin Hote Hain Har Waldein Ki Ye Khawashish Hoti Hai Ki Unki Aulaad Iss Duniya Me Alaa Se Alaa Muqaam Paale Humare Behtar Mustaqbil Keliye Waldein Apna Chain Araam Sab Kuch Qurban Kar Dete Hain Hum Agar Umr Bhar Bhi Ye Koshish Karte Rahein Ke Unke Ehsaan Ka Badla Utaar Sakein Toh Hum Chah Kar Bhi Nahi Kar Sakte Isiliye Humara Farz Banta Hai Ki Hum Apne Waldein Ki Har Tarha Se Qidmat Karein Unki ita’at Aur Farmabardari Me Kisi Qism Ki Koi Kotahi Naa Karein Jis Se Unke Dil Ko Taklif Pohenche Unhe Hamesha Khush Rakhne Ki Koshish Karein Aur Hamesha Unki Har Tarha Ki Qidmat Keliye Tayyar Rahein Quran Me Jagah Jagah Waldein Se Husn Salook Ki Takeed Ki Gayi Hai Quran Me Ek Jagah irshad-E-Bari Talah Hai Agar Dono Me Se Koi Ek Ya Dono Tumhari Zindagi Me Hi Budhe Hojayein Toh Unhe Uff Naa Kaho Unhe Jhidko Nahi, Unke Sath Narmi Se Baat Karo Aur Unke Liye Yeh Dua Karo Aaye Humare Parwardigar Inn Par Raham Farma Jis Tarha Inho Ne Mujhe Bachpan Me Paala Hai Waldein Ka Ehteraam Sirf Ye Nahi Ke Khud Unka Adab Kiya Jaye Balke Aisa Rawaiyah iqtiyar Kiya Jaye Ke Dusre Log Bhi Unke Waldein Ka Ehteram Karein